Horizons

my perspective

Name:
Location: punjab, India

Tuesday, October 24, 2006

a sweet nazam....

Hazaron khwahishein aisin ki har khwaish pe dum nikle,
bahut nikle mere armaan, magar phir bhi kum nikle.

niklna khuld se aadam ka, sunte aaye hain lekin,
bahut be aabroo ho kar tere kuche se hum nikle.

mohabbat mein nahin hai farak jeene aur marne ka,
usi ko dekh kar jeete hain, jis kaafir pe dum nikle.

hazaron khwaishein aisi, ki har khwaish pe dum nikle,
bahut nikle mere armaan,

khuda ke waaste , parda nakaabe se uthe zaalim,
kahin aisa na ho, yahan bhi wohi kaafir sanam nikle.

kahan mehkhaane ka darwaaza ghalib, aur kahan waaiz,
par itna jaante hain, kahin woh jaate tha ki hum nikle.

hazaron khwaishein aisi ki har khwaish pe dum nikle,
bahut nikle mere armaan, lekin phir bhi kum nikle.

0 Comments:

Post a Comment

<< Home